18."प्रेरनाजी" साँई लीला- अनुभव



 :: ll साँई लीला- अनुभव ll ::

बाबा की लीला का यह अनुभव हमसे शेयर किया है  prerna ji ने...
बाबा की लीला का अनुभव उन्ही के शब्दों में :-

"" Aaj se kuch 4 saal  pehle ki baat hai mere sasur ji ka staria tha.. aur ghr par puja havan tha... jis mein 17 panditon ki roti aur baki k sab rishtedar unka bhojan tha.. aur sab ghr par tyar krna tha aur Jin apno ne mere sath khana banvana  tha vo ek raat pehle mere husband k sath jhagra kr k chale gae they aur lag bhag 30 se 35 logon ka khana tha jo uss din banna tha.. on spot koi itna order b nai leta k hum bahr se banva le.. fir meine socha jo hoga dekha jae ga mei akele hi khana bna lu gi.. jo k meine aaj tak kabi itna sara khana kbi b nai bnaya tha koi idea nai tha aur sath mein uss tym meine concieve b kra hua tha.. kaise ho ga kuch smjh nai aya.. agle din subh jab uthi ishnaan krne k baad path kr k kitchen mein khana bnane k liye aa gai.. kya chiz kitni dalni hai koi estimate nai ata tha.. meine baba ka naam lia aur sai amritvani apne mobile mein lga li aur khana bnana shuru kr dia.. khana ban kr sab tyar tha aur ant mein meine saare khane mein vibhuti mila di aur baba se kaha k baba muje kuch nai pta k kya hai kaisa bna hai.. jo BHI hai aap ne kra hai aur sab ache aur swad se kha kr jae iska b dhyan aap rkho ge... vhi hua.. khana Acha b bna sab ache se kha kr b gae aur pura b ho gya 

1 comment: